Koko loan app – Loan fraud

Reported By: Heena MATEEN SHAIKH

Contact information:
Koko loan app Thane

Mera naam heena Mateen shaikh hai mai loko loan app ke baare mei complaint kar rahi hu.Please jo bhi mera message pad rahe hai unse mai guzaarish karungi ki is ghatiya Loan app ko kabhi use mat kijiyega.Chahe aap kitne bhi mazboor a nahi ho.Maine playstore pe is app ko dekha tha aur review bahut acche the Maine review dekhke app download kiya aur sirf apni eligibility check karne ke liye share documents daale documents daalte hi unlogo ne bina meri permission liye mere account me 3,480 rupye transfer kar diye mujhe ye paise nahi chahiye the isliye Maine unka co care no app mei Jake dhunda to waha unka koi co care no tha.To Maine google pe jaake search kiya to waha mujhe umke ek bande ka no mila waha likha hua tha ki koko co care no to Maine uspe call kiya usne phone uthaaya Maine usse pucha ki sir aap aap koko loan app se baat kar rahe ho to us bande ne kaha ji mam mai koko loan app se baat kar raha hu kya baat hai,maine ise bataya ki mere account mei zabardasti 3,480 rupye aapke loan app se daal diye gaye hai iska interest bahut jyada hai aur sirf saat din ka hi time hai mujhe ye loan nahi chahiye to usne kaha thik hai mam aapko loan nahi chahiye koi baat nahi aap mujhe sirf muddal 3500 rupye pay kar dijiye mai aapko details batata hu aap google pe par jaaiye aur ye amount bhar dijiye uspe bharosa karke Maine usse 3500 rupye pay kar diye google app pe uspe baad Maine usse pucha ki sir payment Maine bhej di hu aapke pass aagayi hai kya.Usne kaha payment aa gayi hai mam abhi aap tention mat lo. Phir Maine thodi der baad jaake app pe check kiya to mera payment update nahi dikha raha tha waha6000 dikha raha tha Maine usse phirse call kiya to usne mera phone kat diya aur WhatsApp pe mujhe block kar diya.Raat ok unhi ka banda mujhe call karke bolta hai ki aapko 3480 rupye payment hamne bheja hai abhi aapko 6 din baad 6000 rupye bharne honge.Phir maine unhe bataaya ki payment zabardasti account mei aap log ne daale hai to woh banda kehta hai nahi aapko pura payment bharna hoga nahi to hamlog aap ke contact mei phone karenge.Aap pe legal action lenge.payment dene se pehle unhone nahi meri permission li nahi sanction letter bheja aur nahi agreement.Please mai request karti hu cyber crime waalo se ke jald se jald in logo ke khilaaf koi action le warna ye log har roz kisi na kisi ko is tarah pareshaankarte rahenge please

—————————————————-

How to file a complaint against Koko loan app?

* Go to page
* Write Koko loan app in company name section and write your complaint in detail
* Enter your personal information (email will not be published)
* Get refund / replacement / damages from Koko loan app.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *